Ye aankh kyon hai ye haath kya hai,
ye din hai kya cheez raat kya hai.
Firaaq-e-khursheed-o-maah kyon hai,
ye un ka aur mera saath kya hai.
Gumaan hai kya iss sanam-kade par,
khyaal-e-marg-o-hayaat kya hai.
Fughaan hai kis ke liye dilon mein,
khrosh-e-dariya-e-zaat kya hai.
Falak hai kyon qaid-e-mustaqil mein,
zameen pe harf-e-najaat kya hai.
Hai kaun kis ke liye pareshaan,
pata toh de asal baat kya hai.
Hai lams kyon raigaan humesha,
fanaa mein khauf-e-sibaat kya hai.
Munir’ iss shehar-e-ghumzada par,
tera ye sehar-e-nashaat kya hai. !!
-- Munir Niazi --
No comments:
Post a Comment