Tuesday, May 5, 2015

Is se pehle ki bewafa ho jayen


Is se pehle ki bewafa ho jayen,
kyon na aye dost hum judaa ho jayen.

Tu bhi heere se ban gaya patthar,
hum bhi kal jaane kya se kya ho jayen.

Tu ki yakta tha beshumaar hua,
hum bhi tooten toh ja-ba-jaa ho jayen.

Hum bhi majbooriyon ka uzr karen,
phir kahin aur mubtila ho jayen.

Hum agar manzilein na ban payen,
manzilon tak ka raasta ho jayen.

Der se soch mein hain parwaane,
raakh ho jayen ya hawa ho jayen.

Ishq bhi khel hai naseebon ka,
khaak ho jayen keemiya ho jayen.

Ab ke gar tu mile toh hum tujh se,
aise liptein teri qabaa ho jayen.

Bandagi hum ne chhod di hai ‘faraz
kya karen log jab khuda ho jayen.

No comments:

Post a Comment