Jaur se baaz aaye par baaz aayain kya ?
Kehte hain, ham tumko munh dikhlayain kya ?
Raat din gardish mein hain saat aasmaan
Ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayain kya ?
Laag ho to usko ham samjhain lagaav
Jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayain kya ?
Ho liye kyun naamaabar ke saath-saath ?
Yaar! apne knat ko ham pahun chaayain kya ?
Mauj-E-khoon sar se guzar hee kyun na jaaye
Aastaan-E-yaar se uth jaayain kya ?
Umr bhar dekhaa kiye marne kee raah
Mar gaye par dekhiye dikhlaayain kya ?
Poochchte hain woh K ‘Ghalib’ kaun hai ?
Koee batlaao K ham batlaayain kya ?
No comments:
Post a Comment