aye deeda-e-giryan kya kahiye iss pyaar bhare afsaane ko
ek shama jali bujhne ke liye ek phool khila murjhane ko
Main apne pyaar ka deep liye aafaaq mein har su ghoom gaya
tum door kahin ja pahunche the aakaash pe jee behlaane ko
Woh phool se lamhe bhaari hain ab yaad ke naazuk shaanon par
jo pyaar se tum ne saunpe the aaghaaz mein ek deewaane ko
Ek saath fanaa ho jaane se ek jashn toh barpaa hota hai
yun tanha jalna theek nahin samjhaaye koi parwaane ko
Main raat ka bhed toh kholunga jab neend na mujh ko aayegi
kyon chaand sitaare aate hain har raat mujhe samjhaane ko
No comments:
Post a Comment