Welcome to poetry blog.Here you can find a large collection poetry in Urdu & Hindi poetry like sad poetry, love poetry Romantic poetry,poetry for friends and many more.So keep in touch with us .
Saturday, May 2, 2015
Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta
Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta,
Kisi bhi Aaina me dair tak chehra nahi rehta...
Baray logon se milne me hamesha fasla rakhna,
Jahan darya samandar se mila, darya nahi rehta...
Tumhara Shehar to bilkul naye andaz wala hai,
Hamare shehar me bhi ab koi hum sa nahi rehta...
Mohabbat aik khushbu hai hamesha saath chalti hai,
Koi insan tanhai me bhi tanha nahi rehta....
Koi badal haray mausam ka phir ailan karta hai,
Khizan ke bagh mein jab aik bhi patta nahi rehta...
Dil ki Baat Labho Par
Dil ki baat labon par la kar ab tak ham dukh sehte hain
Ham ne suna tha is basti mein dil wale bi rehte hain,
Beet gya sawan ka mahena mosam ne nazrain badlen
Lekin in payasi aankhon se ab tak aansoo behte hain,
Aik hmain awara kehna koi bara ilzam nahi
Dunya wale dil walon ko aur bohat kuch kehte hain,
Jin ki khatar shehr bi chora jin ke liye badnaam hoye
Aaj wohi ham se begane begane se rehte hain,
Wo jo abi is rah guzar se chak greban guzra tha
Us awara dewane ko jalib jalib kehte hain.Muja bhi yad kar lana
Labels:
bawafai,
Muja bhi yad kar lana,
sad poetry
Location:
Islamabad, Pakistan
Subscribe to:
Posts (Atom)