Thursday, May 7, 2015

Kis ne sang-e khamoshi pheinka bhare bazar par,

Kis ne sang-e khamoshi pheinka bhare bazar par,
Ek sukoot-e-marg taari hai darr-o deewaar par.

Tune apne zulf ke saaye mein afsaane kahe,
Mujh ko zanjeeren mili hain jurrat-izhaar par.

Shaakh-e uriyaan par khila ek phool iss andaaz se,
Jis tarah taaza lahoo chamke nayi talwaar par.

Sangdil ahbaab ke daaman mein ruswaai ke phool,
Maine dekha hai naya manzar faraaz-e-daar par.

Ab koi tohmat bhi wajah-e karb-e ruswaai nahi,
Zindagi ek umar se chup hai tere israar par.

Main sar-e maqtal hadees zindagi kehta raha,
Ungliyan uthti rahi  Mohsin mere kirdaar par

No comments:

Post a Comment