Dil Eya naadaan tujhe huaa kya hai
Aakhir iss dard kii davaa kya hai
Hum haiN mushtaaq aur woh bezaar
Yaa ilaahee yeh maajraa kya hai
MaiN bhi muNh me zabaan rakhta hun
Kaash poochho k muddu’aa kya hai
Jab K thujh bin naheen koi maujood
Phir yeh hangaamaa ae Khuda kya hai
Yeh paree chehra log kaise hain
Ghamza O ishwa O adaa kya hai
Shikan-E zulf-E anbareen kyun hai
Nigah chashm E surma sa kya hai
Sabza O gul kahaan se aaye hain
Abr kyaa cheez hai, havaaa kya hai
Hum ko un se wafa ki hai ummeed
Jo naheen jaante wafa kya hai
Haan bhala kar tera bhala hogaa
Aur darvaesh kee sadaa kya hai
Jaan tum par nissar karta hoon
Main naheen jaanta du’aa kya hai
Main ne mana K kuchh nahi ‘Ghalib’
Muft haath aaye to buraa kya hai
No comments:
Post a Comment