Har ek baat pe kehte ho tum k ‘tu kya hai’ ?
Tumheen kaho k yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
Na sho’le mein yeh karishma na barq mein ye ada
koee bataao k woh shokh-e-tund_khoo kya hai ?
Yeh rashk hai ki wo hota hai ham_sukhan tumse
Wagarna khauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
Hamaaree jeb ko ab Haajat-e-rafoo kya hai ?
Jalaa hai jism jahaan dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, Justjoo kya hai ?
Ragon mein daurte phirne ke ham naheen qaayal
Jab aaNkh hi se na tapka to Phir lahoo kya hai ?
Woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
Siwaay baada-e-gul_faam-e-Mushkaboo kya hai ?
PiyooN sharaab agar khum bhee dekh loon do chaar
Yeh sheesha-o-qadah-o-Kooza-o-suboo kya hai ?
Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
To kis ummeed pe Kahiye ke aarzoo kya hai ?
Bana hai shaah ka musaahib, phire hai itraata
Wagarna shahar Mein ‘Ghalib’ kee aabroo kya hai ?
(By: Mirza Ghalib)
No comments:
Post a Comment