Tuesday, May 5, 2015

Hai uss gulrang ka deewar hona,

Hai uss gulrang ka deewar hona,
ki jaise khwaab se bedaar hona.

Bataati hai mehak dast-e-hina ki,
kisi dar ka pas-e-deewar hona.

Usey rakhta hai sehraaon mein hairaan,
dil-e-shayar ka pur-asraar hona.

Kamaal-e-shauq ka haasil yahi hai,
humara shehar se bezaar hona.

Firaaq aaghaaz hai un saa.aton ka,
hai aakhir jin ka wasl-e-yaar hona.

Yahi hona tha aakhir dasht-e-ghum ko,
humare haath se gulzaar hona.

Mohabbat ka sabab hai beniyaazi,
kashish uss ki hai bas dushwaar hona..!

-- Munir Niazi --

No comments:

Post a Comment