Ab wahi harf-e-junoon sab ki zabaan thehri hai,
jo bhi chal nikli hai woh baat kahan thehri hai.
Aaj tak shaikh ke ikraam mein jo shayy thi haraam,
ab wahi dushman-e-deen raahat-e-jaan thehri hai.
Hai khabar garm ki phirta hai gurezaan naaseh,
guftugu aaj sar-e-ku-e-butaan thehri hai.
Hai wahi aariz-e-laila wahi sheerin ka dahan,
nigah-e-shauq ghadi bhar ko jahaan thehri hai.
Wasl ki shab thi to kis darja subuk guzri thi,
hijr ki shab hai toh kya sakht giraan thehri hai.
Bikhri ek baar toh haath aayi hai kab mauj-e-shamim,
dil se nikli hai toh kab lab pe fughaan thehri hai.
Dast-e-sayyaad bhi aajiz hai kaf-e-gul-chin bhi,
bu-e-gul thehri na bulbul ki zabaan thehri hai.
Aate aate yunhi dum bhar ko ruki hogi bahaar,
jaate jaate yunhi pal bhar ko khizaan thehri hai.
Hum ne jo tarz-e-fughaan ki hai qafas mein ijaad,
faiz’ gulshan mein wahi tarz-e-bayaan thehri hai.

No comments:
Post a Comment