Friday, May 8, 2015

Tu ne nafrat se jo dakha to mujhe yad aya


Tu ne nafrat se jo dakha to mujhe yad aya
Kaisay rishtay teri khatir yoon-hi torde aya hon

Kitne dhundle hain yeah chehray jinhien apnaya hai
Kitni ujli thien wo ankhan, jinhan chorde aya hon ---

 Mohsin Naqvi

Sab se chupa kar durd jo wo muskra diya



Sab se chupa kar durd jo wo muskra diya
Uski hansi ne to aj mujhe rula diya
Lehje se uth raha tha Har ik durd ka dhuwa’n
Chehra bata raha tha ke kuch ghanwa diya


Awaz mein tehraoo tha ankhoon mein nami thi
Aur keh raha tha ke mein ne sab kuch bhula diya
Janay kia usko logoon se thien shikyatian
Tanhayoon ke dais mein khud ko basa diya


Khud bhi wo hum se bichar ker adhura sa ho gaya
Muj ko bhi itne logon mein tannha bana diya - - - -

Thursday, May 7, 2015

Tere ishq ki intiha chaahta hun


Tere ishq ki intiha chahta hun,
meri sadgi dekh kya chaahta hun.

Sitam ho ki ho wada-e-be-hijaabi,
koi bat sabr-aazma chaahta hun.

Ye jannat mubaarak rahe zahidon ko,
ki main aap ka samna chaahta hun.

Zara sa toh dil hun magar shokh itna,
wahi lan-taraani suna chahta hun.

Koi dum ka mehman hun aey ahl-e-mehfil,
charaagh-e-sehar hun bujha chahta hun.

Bhari bazm mein raz ki baat keh di,
bada be-adab hun saza chahta hun. 

Zakhm jhele daagh bhi khaaye bahut

Zakhm jhele daagh bhi khaaye bahut,
dil laga kar hum toh pachhtaye bahut.

Jab na tab jagah se tum jaya kiye,
hum toh apni or se aaye bahut.

Dair se su-e-haram aaya na tuk,
hum mizaaj apna idhar laaye bahut.

Phul gul shams-o-qamar sare hi the,
par humen un mein tumhin bhaye bahut.

Gar buka iss shor se shab ko hai toh,
rowenge sone ko hum-saaye bahut.

Woh jo nikla subh jaise aftaab,
rashk se gul phool murjhaaye bahut.

‘Meer’ se poochha jo main ashiq ho tum,
ho ke kuchh chupke se sharmaye bahut. 

Kis ne sang-e khamoshi pheinka bhare bazar par,

Kis ne sang-e khamoshi pheinka bhare bazar par,
Ek sukoot-e-marg taari hai darr-o deewaar par.

Tune apne zulf ke saaye mein afsaane kahe,
Mujh ko zanjeeren mili hain jurrat-izhaar par.

Shaakh-e uriyaan par khila ek phool iss andaaz se,
Jis tarah taaza lahoo chamke nayi talwaar par.

Sangdil ahbaab ke daaman mein ruswaai ke phool,
Maine dekha hai naya manzar faraaz-e-daar par.

Ab koi tohmat bhi wajah-e karb-e ruswaai nahi,
Zindagi ek umar se chup hai tere israar par.

Main sar-e maqtal hadees zindagi kehta raha,
Ungliyan uthti rahi  Mohsin mere kirdaar par

Love knows no reasons

Love knows no reasons,

Love knows no lies,

Love defines all reasons,

Love has no eyes…

But love is not blind,

Love sees all but does not mind

Let the world stop turning

Let the world stop turning,

Let the sun stop burning,

Let them tell me love’s not worth going through.

If it all falls apart,

I will know deep in my heart,

The only dream that mattered had come true

In this life I was loved by You.

Sometimes in life

Sometimes in life you feel so blue,
but someone somewhere is not as happy as you.

Far at the border when a soldier sleeps,
Missing his loved ones he silently weeps.

Somewhere a mother painfully sighs,
because her new born baby didn’t open the eyes.

Somewhere a poor dad silently cries,
seeing his son begging a bowl of rice.

In an orphanage a little girl is sad,
when she misses her mum and dad.

when reason to smile you may not have any,
Just say to yourself that you are happier than many.

Because life is beautiful and not always blue,
and someone somewhere is not as happy as you.

So always be thankfull to GOD for what you have.

Kuch nahe mra pas tuja dana ka lia bus doaon ka siwa
Khuda  tuja  khushehan   da aur muja sirf  sath   tra

Mra dil ki dahleez pa,
Kabi tum ata
to samaj lata . . .
K tanhai ki azeehat sa
Muja moot kun ahsan
Lagi> . . . . .

Ha aktehar ma tra to moajza kar da
Wo shaks mra nahe , usa ra  kar da  
> > >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

Wednesday, May 6, 2015

Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Karte Hain


Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Karte Hain
Main To Mar Kar Bhi Meri Jan TujheeChahon Ga

Tu Mila Hai To Ye Aehsas Howa Hai Mujh Ko
Ke Meri Umer Mohabbat Ke Liye Thorii Hai

Ek Zara Sa Gham Dora Ka Bhi Haq Hai Jis Per
Main Ne Wo Sans Bhi Tere Liye Rakh Chori Hai

Tujh Pe Ho Jaon Ga Qurban Tujhe Chaon Ga
Main To Mar Kar Bhi Meri Jan Tujhe Chahon Ga

Apne Naghmaat Mein Jazbat Rachane Ke Liya
Main Ne Dharkan Ki Tarha Dil Mein Basaya Hai Tujhe

Main Tasawar Bhi Judai Ka Bhala Kese Karon
Main Ne Qismat Ki Lakiron Se Churaya Hai Tujha

Pyar Ka Ban Ke Nigheban Tujhe Chahon Ga
Main To Mar Kar Bhi Meri Jan Tujhe Chahon Ga

Aye deeda-e-giryan



aye deeda-e-giryan kya kahiye iss pyaar bhare afsaane ko
ek shama jali bujhne ke liye ek phool khila murjhane ko

Main apne pyaar ka deep liye aafaaq mein har su ghoom gaya
tum door kahin ja pahunche the aakaash pe jee behlaane ko

Woh phool se lamhe bhaari hain ab yaad ke naazuk shaanon par
jo pyaar se tum ne saunpe the aaghaaz mein ek deewaane ko

Ek saath fanaa ho jaane se ek jashn toh barpaa hota hai
yun tanha jalna theek nahin samjhaaye koi parwaane ko

Main raat ka bhed toh kholunga jab neend na mujh ko aayegi
kyon chaand sitaare aate hain har raat mujhe samjhaane ko

Suna hay us ko mohabbat duaian dati hai


Suna hay us ko mohabbat duaian dati hai
Jo dil pe chote tu khaaye magar gila na karay

Halaat ki bheegi raat bhi hai jazbaat ka tez alaav bhi


Halaat ki bheegi raat bhi hai jazbaat ka tez alaav bhi,
main kaun si aag mein jal jaaun aye nukta-waro samjhaao bhi.

Har-chand nazar se jhele hain har baar sunahre ghaao bhi,
hum aaj bhi dhokha kha lenge tum bhesh badal kar aao bhi.

Girdaab ke khooni halqon se jab khel chuki hai naav bhi,
patwaar badalna kya maani? mallaahon ko samjhaao bhi.

Be-kaif jhakole kaanton ko shaadaab toh kya kar paayenge,
jo phool pade hain raahon mein un phoolon ko mehkaao bhi.

Hum se toh jafaaon ke shikwe tum hans kar chheen bhi sakte ho,
hum dil ko pashemaan kar lenge tum pyaar se aankh jhukaao bhi.

Gulrang charaaghon ki lau se tareek ujaale phoot bahe,
taaq mein ghor andhera hai is rang-mehal ko dhaao bhi. !

Meri nazar se na ho door ek pal ke liye




Meri nazar se na ho door ek pal ke liye,
tera wajood hai laazim meri ghazal ke liye.

Kahan se dhoond ke laaun charaagh se woh badan,
taras gaye hain nigaahen kanwal kanwal ke liye.

Kisi kisi ke naseebon mein ishq likha hai,
har ek dimaagh bhala kab hai iss khalal ke liye.

Hui na jurrat-e-guftaar toh sabab ye tha,
mile na lafz tere husn-e-be-badal ke liye.

Sadaa jiye ye mera shehar-e-bemisaal jahaan,
hazaar jhonpade girte hain ek mehal ke liye.

Qateel’ zakhm sahun aur muskurata rahun,
bane hain daayre kya kya mere amal ke liye. !!

Mil kar juda hue toh na soya karenge hum


Mil kar juda hue toh na soya karenge hum,
ek doosre ki yaad mein roya karenge hum.

Aansoo chalak chalak ke sataayenge raat bhar,
moti palak palak mein piroyaa karenge hum.

Jab dooriyon ki aag dilon ko jalaayegi
jismon ko chaandni mein bhigoya karenge hum.

Been kar har ek bazm ka mauzu-e-guftugoo,
sheron mein tere ghum ko samoya karenge hum.

Mazbooriyon ke zehar se kar lenge khudkushi,
ye buzdili ka jurm bhi goya karenge hum.

Dil jal raha hai zard shajar dekh dekh kar,
ab chaahton ke beej na boya karenge hum.

Gar de gaya daghaa humen toofaan bhi ‘qateel
saahil pe kashtiyon ko duboya karenge hum. !

Tum poochho aur main na bataaun


Tum poochho aur main na bataaun aise toh haalaat nahin,
ek zara sa dil toota hai aur toh koi baat nahin.

Kis ko khabar thi saanwale baadal bin barse udd jaate hain,
saawan aaya lekin apni qismat mein barsaat nahin.

Toot gaya jab dil toh phir ye saans ka naghma kya ma.ani,
goonj rahi hai kyon shehnaai jab koi baaraat nahin.

Ghum ke andhiyaare mein tujh ko apna saathi kyon samjhun,
tu phir tu hai mera toh saaya bhi mere saath nahin.

Maana jeevan mein aurat ek baar mohabbat karti hai,
lekin mujh ko ye toh bata de kya tu aurat zaat nahin?

Khatm hua mera fasaana ab ye aansoo ponchh bhi lo,
jis mein koi taara chamke aaj ki raat woh raat nahin.

Mere ghumgeen hone par ahbaab hain yun hairaan ‘qateel
jaise main patthar hun mere seene mein jazbaat nahin. !

Nigaahon mein chamak dil mein khushi mehsoos karta hun


Nigaahon mein chamak dil mein khushi mehsoos karta hun,
ki tere bas mein apni zindagi mehsoos karta hun.

Thaka deti hain jab kaunain ki pahnaaiyaan mujh ko,
tere dar par pahunch kar taazgi mehsoos karta hun.

Ba-majboori muqaddar ke uffaaq se jhaankne waale,
teri aankhon mein sharmindagi mehsoos karta hun.

Jawaani ko sazaa-e-lazzat-e-ehsaas de dena,
main iss had par khuda ko aadmi mehsoos karta hun.

Shab-e-aakhir falak par timtima kar doobte taare ,
main apne saath tera dard bhi mehsoos karta hun.

Qateel’ ehbaab ko deta hun tere sulooq ki zehmat,
main apne dard mein jab bhi kami mehsoos karta hun. .!

Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe


Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe
Ke Sang Tujhpe Gire Aur Zakhm Aay Mujhe

Woh Mera Dost Hai Sare Jahan Ko Hai Malom
Dagha Kare Woh Ksi Se Tou Sharm Aay Mujhe

Wo Meharbaan Hai Tou Iqraar Kyon Nahin Karta
Wo Badgumaan Hai Tou Sou Baar Azmaaye Mujhe

Wohi Tou Sab Se Zyada Hai Nukta Chien Mera
Jo Muskora Ke Humesha Gale Lagaye Mujhe

Barang Oud Mile Gi Usey Meri Khushboo
Woh Jab Bhi Chahe Bare Shouq Se Jale Mujhe

Main Apni Zaat Mein Neelam Ho Raha Hoon 'Qateel'
Gham-E-Hayaat Se Keh Do Khareed Laye Mujhe

Kaya mila aakhir tujhe


Kaya mila aakhir tujhe,saayon k peechhe bhaag kar
Ae dil-e nadaa'n,tujhe kaya ham ne samjhaaya na tha

Uff ye sanaatta k aahat tak na ho jis main mukhal
Zindagi main is qadar ham ne sakoo'n paaya na tha

Khoob roye chhup k ghar ki chaar-diwaari main ham
Haal-e dil kehne k qaabil koi hamsaaya na tha

Ho gaye qalaash jab se aas ki dolat lutti
Paas apne,aor to koi bhi sarmaaya na tha

Wo payyambr ho k aashiq,qatal-gaah e shouq main
Taaj kaanton ka kise dunya ne pehnaaya na tha

Ab khula,jhonkon k peechhe chal rahi thi aandhiyan
Ab jo manzar ha wo pehle to nazar aaya na tha

Sirf khushbu ki kmi thi ghor k qaabil QATEEL
Warna gulshan main koi bhi phool murjhaaya na tha.

Tuesday, May 5, 2015

Kamal-e-zabt ko khud bhi azmaungi


Kamal-e-zabt ko khud bhi azmaungi
main apne hath se us ki dulhan sajaungi

Supurd kar k use chandni k hathon
main apne ghar k andheron ko laut aungi

Badan k karb ko wo bhi samajh na payega
bain dil main roungi ankhon main muskuraungi

Wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye
main kis se ruth sakungi kise manaungi

Wo ik rishta-e-benam bhi nahin lekin
main ab bhi us k isharon pe sar jhukaungi

Bicha diya tha gulabon k sath apna wajud
wo so k uthe to khwabon ki rakh uthaungi

Ab us ka fan to kisi aur se mansub hua
main kis ki nazm akele main gungunaungi

Jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
wo kah raha tha k main us ko bhul jaungi

Samaaton main ghane jangalon ki sansen hain
main ab kabhi teri awaz sun na paungi

Ahmad Faraz Best ever Urdu Ghazal





Ahmad Faraz best ever



Ishq minnat kash E qaraar nahi


Ishq minnat kash E qaraar nahi
Husn majboor E intezaar nahi

Teri ranjish ki intehaa maloom
HasratoN ka miri shumaar nahi

Apni nazreN bikher de saaqee
Mai ba-andaazaa E khumaar nahi

Zer E lab hai abhi tabassum E dost
Muntashir jalwa E bahaar nahi

Apni takmeel kar raha hun main
Warna tujh se to mujh ko pyar nahi

Charaa E intezaar kaun kare
Teri nafrat bhi ustawaar nahi

‘Faiz’ zinda rahen wo hain to sahi
Kya huaa gar wafa shu’aar nahi

um aaye ho na shab-E-intezaar guzre hai


Tum aaye ho na shab-E-intezaar guzri hai
Talaash meN hai sehar baar baar guzri hai

JunuuN meN jitni bhi guzri bakaar guzarii hai
Agar che dil pe kharaabii hazaar guzrii hai

Huii hai hazrat-E-naaseh se guftaguu jis shab
Wo shab zaruur sar-E-kuu-E-yaar guzri hai

Woh baat saare fasaane meN jiskaa zikr na thaa
Woh baat unko bahut naa-gavaar guzri hai

Na gul khile haiN, na un se mile, na mai pi hai
Ajeeb rang meN ab ke bahaar guzri i hai

Chaman meN Ghairat-E-gulchiN pe jane kya guzri
Qafas se aaj sabaa be – Qaraar guzri hai!

Ab ke yun dil ko saza di hum ne


Ab ke yun dil ko saza di hum ne,
Uss ki har baat bhula di hum ne.

Ek ek phool bahut yaad aaya,
Shakh-e gul jab woh jala di hum ne.

Aaj tak jis pe woh sharmaate hain,
Baat woh kab ki bhula di hum ne.

Shehar-e jahan raakh se aabaad hua,
Aag jab dil ki bujha di hum ne.

Aaj phir yaad bahut aaya woh,
Aaj phir uss ko dua di hum ne.

Koi toh baat hai uss mein ‘Faiz
Har khushi jis pe luta di hum ne. !

Ab wahi harf-e-junoon sab ki zabaan thehri hai

Ab wahi harf-e-junoon sab ki zabaan thehri hai,
jo bhi chal nikli hai woh baat kahan thehri hai.

Aaj tak shaikh ke ikraam mein jo shayy thi haraam,
ab wahi dushman-e-deen raahat-e-jaan thehri hai.

Hai khabar garm ki phirta hai gurezaan naaseh,
guftugu aaj sar-e-ku-e-butaan thehri hai.

Hai wahi aariz-e-laila wahi sheerin ka dahan,
nigah-e-shauq ghadi bhar ko jahaan thehri hai.

Wasl ki shab thi to kis darja subuk guzri thi,
hijr ki shab hai toh kya sakht giraan thehri hai.

Bikhri ek baar toh haath aayi hai kab mauj-e-shamim,
dil se nikli hai toh kab lab pe fughaan thehri hai.

Dast-e-sayyaad bhi aajiz hai kaf-e-gul-chin bhi,
bu-e-gul thehri na bulbul ki zabaan thehri hai.

Aate aate yunhi dum bhar ko ruki hogi bahaar,
jaate jaate yunhi pal bhar ko khizaan thehri hai.

Hum ne jo tarz-e-fughaan ki hai qafas mein ijaad,
faiz’ gulshan mein wahi tarz-e-bayaan thehri hai. 

Aayeya kuchh abr, kuchh sharaab aayey


Aayeya kuchh abr, kuchh sharaab aayey
Us k baad aayey jo azaab aayey

Baam-e-meena se maahtaab utray
Dast-e-saaqi mein aaftaab aayey

Har rag-e-jaan mein phir chiraaGhaan ho
Saamney phir wo baynaqaab aayey

Kar raha tha Gham-e-jahaan ka hisaab
Aaj tum yaad bayhisaab aayey

Jal uThay bazm-e-Ghair k darbaan
Jab bhi ham Khaanumaan Kharaab aayey

Faiz thi raah sar basar manzil
Ham jahaan pahunchey kaamyaab aayey

==*= Is tarah toote =*==

 Hum jo toote to is tarah toote
    jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
   jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
   jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
   jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
   jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
   jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
   jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
   ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
   hum jo toote to raayegaan toote

Qurbatoon mein bhi juda'ee ke zamaanay maange


Qurbatoon mein bhi juda'ee ke zamaanay maange
dil wo be-mehr keh roonay ke bahaanay maaNge

Hum na hotay to kisi aur ke churchay hotay
khuqat-e shehr tau kehnay ko fusaanay maange

Yeh-hi dil tha keh turusta tha maraasim ke lya
ab yeh-hi turk-e talug ke bahaanay maange

Zindagi hum tere daghooN se rahe sharminda
aur tu hai keh sada aina khaanay maange

Dil kisi haal per qaanay hi nahin jaan-e faraz
mil gaye tum bhi tau kya aur na jaane maange

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay


Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay

Iab bhi dil khol ke roye honge


Iab bhi dil khol ke roye honge,
log aaraam se soye honge.

Baaz aukaat ba-majboori-e dil,
hum toh kya aap bhi roye honge.

Subah tak dast-e saba ne kya kya,
phool kaanton mein piroye honge.

Woh safeene jinhe toofan na mile,
na-khudaaon ne duboye honge.

Raat bhar hanste hue taaron ne,
un ke aariz bhi bhigoye honge.

Kya ajab hai woh mile bhi hon ‘faraz
hum kisi dhyaan mein khoye honge. 

Is se pehle ki bewafa ho jayen


Is se pehle ki bewafa ho jayen,
kyon na aye dost hum judaa ho jayen.

Tu bhi heere se ban gaya patthar,
hum bhi kal jaane kya se kya ho jayen.

Tu ki yakta tha beshumaar hua,
hum bhi tooten toh ja-ba-jaa ho jayen.

Hum bhi majbooriyon ka uzr karen,
phir kahin aur mubtila ho jayen.

Hum agar manzilein na ban payen,
manzilon tak ka raasta ho jayen.

Der se soch mein hain parwaane,
raakh ho jayen ya hawa ho jayen.

Ishq bhi khel hai naseebon ka,
khaak ho jayen keemiya ho jayen.

Ab ke gar tu mile toh hum tujh se,
aise liptein teri qabaa ho jayen.

Bandagi hum ne chhod di hai ‘faraz
kya karen log jab khuda ho jayen.

Woh dushman-e jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha


Woh dushman-e jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha
ab kis se kahen koi humara bhi kabhi tha.

Utra hai ragg-o-pai mein toh dil kat sa gaya hai,
ye zehar-e judaai ki gawaara bhi kabhi tha.

Har dost jahan abr-e gurezaan ki tarah hai,
ye shehar kabhi shehar humara bhi kabhi tha.

Titli ke taaqub mein koi phool sa bachcha,
aisa hi koi khwaab humara bhi kabhi tha.

Ab agle zamane ke milen log toh puchhen,
jo haal humara hai tumhara bhi kabhi tha.

Har bazm mein hum ne usey afsurda hi dekha,
kahte hain ‘faraz kabhi anjuman-aara bhi tha. !!

           -- Ahmad Faraz --

Thake logon ko majboori mein chalte dekh leta hun



Thake logon ko majboori mein chalte dekh leta hun,
main bas ki khidkiyon se ye tamaashe dekh leta hun.

Kabhi dil mein udaasi ho toh un mein ja nikalta hun,
puraane doston ko chup se baithe dekh leta hun.

Chhupaate hain bahut woh garmi-e-dil ko magar main bhi,
gul rukh par uddi rangat ke chheente dekh leta hun.

Khada hun yun kisi khaali qile ke sehan-e-veeran mein,
ki jaise main zameenon mein dafeene dekh leta hun.

Munir’ andaaza-e-qaar-e-fanaa karna ho jab mujh ko,
kisi oonchi jagah se jhuk ke neeche dekh leta hun.!!

- Munir Niazi--

Hai uss gulrang ka deewar hona,

Hai uss gulrang ka deewar hona,
ki jaise khwaab se bedaar hona.

Bataati hai mehak dast-e-hina ki,
kisi dar ka pas-e-deewar hona.

Usey rakhta hai sehraaon mein hairaan,
dil-e-shayar ka pur-asraar hona.

Kamaal-e-shauq ka haasil yahi hai,
humara shehar se bezaar hona.

Firaaq aaghaaz hai un saa.aton ka,
hai aakhir jin ka wasl-e-yaar hona.

Yahi hona tha aakhir dasht-e-ghum ko,
humare haath se gulzaar hona.

Mohabbat ka sabab hai beniyaazi,
kashish uss ki hai bas dushwaar hona..!

-- Munir Niazi --

Ye aankh kyon hai ye haath kya hai


Ye aankh kyon hai ye haath kya hai,
ye din hai kya cheez raat kya hai.

Firaaq-e-khursheed-o-maah kyon hai,
ye un ka aur mera saath kya hai.

Gumaan hai kya iss sanam-kade par,
khyaal-e-marg-o-hayaat kya hai.

Fughaan hai kis ke liye dilon mein,
khrosh-e-dariya-e-zaat kya hai.

Falak hai kyon qaid-e-mustaqil mein,
zameen pe harf-e-najaat kya hai.

Hai kaun kis ke liye pareshaan,
pata toh de asal baat kya hai.

Hai lams kyon raigaan humesha,
fanaa mein khauf-e-sibaat kya hai.

Munir’ iss shehar-e-ghumzada par,
tera ye sehar-e-nashaat kya hai. !!

-- Munir Niazi --

Shab-e-wisal mein doori ka khwab kyon aaya

Shab-e-wisal mein doori ka khwab kyon aaya,
kamaal-e-fatah mein ye dar ka baab kyon aaya.

Dilon mein ab ke baras itne wehm kyon jaage,
bilaad-e-sabr mein ab iztiraab kyon aaya.

Hai aag gul pe ajab iss bahaar-e guzraan mein,
chaman mein ab ke gul-e-behisaab kyon aaya.

Agar wahi tha toh rukh pe woh berukhi kya thi,
zara se hijr mein ye inqilaab kyon aaya.

Bas ek hoga tamasha tamaam samton par,
meri sada ke safar mein saraab kyon aaya.

Main khush nahin hun bahut door uss se hone par,
jo main nahin tha toh uss par shabaab kyon aaya.

Udaa hai shola-e-barq abr ki faseelon par,
ye iss balaa ke muqaabil sahaab kyon aaya.

Yaqeen kis liye uss par se uth gaya ha ‘munir
tumhare sar pe ye shak ka azaab kyon aaya. !!

– Munir Niazi

Safar Ma Hain jo Azal sa





Safeer ma  hajo azal sa ya wo bla  hi na ho 
Kawar khol ka dakho  kahhen hawa hi na ho 

Na jan k is sa pra dast-e-Marg ho shahid
Paltna chahain wahan sa to rasta hi na ho 

By
Nunir Niazi

Monday, May 4, 2015

==* Kash main teray haseen hath ka kangan hota *==

kash main teray haseen hath ka kangan hota
tu baray piyar say chao say baray man kay sath

apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko
aor betaby say furqat kay khiza lamhon main

tu kisee soch main doby jo ghumaty mujh ko
main teray hath ki khushbu say mehak sa jata

jab kabhi mood main akar mujhay chuma karty
teray honton ki main hiddat say dehak sa jata

rat ko jab bhi tu nindh kay safar pay jaty
marmarin hath ka eik takiya banaya karty

main teray kan say lag kar kaii batain karta
tery zulfon ko teray gal ko chumaa karta

mujh ko betab sa rakhta tery chahat ka nasha
main tery roh kay gulshan main mehakta rehta

main teray jism kay angan main khanakta rehta
kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota

kash main teray hansee hath ka kangan hota ...........

==*Apne Ehsaas se chukar mujhe Sandal kardo *==

Apne ehsaas se chukar mujhe sandal kardo,
mai ke hun sadyyon se adhura mukammal kardo,

Na tumhe hosh rahe na mujhe hosh rahe,
is qadar toot ke chaho mujhe paagal kardo,

tum hatheli ko apni mere pyar ki mehndi ye rango,
apni Ankhonn mai mere pyar ka Kajol kardo,

Dhoop hi Dhoop hun mai toot ke barso mujh par,
mai to Sehry hun mujhe pyar ka baadal kardo,

Iske Sayye se mere khaywaab mehak uthenge,
mere Chehre pe Umeed Bhara anchal kardo,

Apne hontoon ki koi mohar lagao mujh par,
ik nazar pyar se dekho mujhe ghayal kardo

==* Dayar-E-Ghair Mein Kaise Tujhe Sada Dete *==

Dayar-E-Ghair Mein Kaise Tujhe Sada Dete

Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete

Tumhin Ne Ham Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Karte K Ham Asman Hila Dete

Hamein Ye Zom Raha Ab K Wo Pukarenge
Unhen Ye Zid Thi K Har Bar Ham Sada Dete

Wo Tera Gham Tha K Tasir Mere Lahje Ki
K Jis Ko Hal Sunate Use Rula Dete

Tumhen Bhulna Hi Awwal To Dastaras Mein Nahin
Jo Ikhtiyar Bhi Hota To Kya Bhula Dete

Tumhari Yad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Ansu Rahe Sada Dete

Samton Ko Main Ta-Umar Kosta Syed
Wo Kuch Na Kahte Magar Honth To Hila Dete

Hijar ka tara doob raha hai, dhalne lagi hai raat Wasi



Hijar ka tara doob raha hai, dhalne lagi hai raat Wasi
katra katra baras rahi hai ashkon ki barsaat Wasi

tere baad ye duniya wale mujhko pagal kar dein ge
khushbu k dais mein le chal mujhko saath Wasi

yun hi chup ki muhar laga kar kab tak gumsum baitho ge ?
kkhamoshi se dam ghut-ta hai, chero koi baat Wasi

aaj to usska chehra b kuch badla badla lagta hai
mausam badla duniya badli badal gaye halaat Wasi

mere ghar khushboo ka ye raqs ussi k dam se hai
uss k saath chali jaye gi phoolon ki barsaat Wasi

chor WASI ab usski yaadien tujhko pagal kar dein gi
tu qatra hai wo darya hai dekh apni aukaat Wsai

Poochchte hain woh k ‘GHalib’ kaun hai


Jaur se  baaz aaye  par baaz  aayain  kya ?
Kehte hain, ham tumko munh dikhlayain kya ?

Raat din  gardish  mein hain  saat aasmaan
Ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayain kya ?

Laag  ho  to   usko  ham   samjhain   lagaav
Jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayain kya ?

Ho  liye   kyun   naamaabar  ke  saath-saath ?
Yaar! apne knat ko ham pahun chaayain kya ?

Mauj-E-khoon sar se guzar hee kyun na jaaye
Aastaan-E-yaar    se    uth   jaayain   kya ?

Umr  bhar dekhaa  kiye marne kee raah
Mar gaye par dekhiye dikhlaayain kya ?

Poochchte hain woh K ‘Ghalib’ kaun hai ?
Koee  batlaao   K  ham  batlaayain  kya ?

Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota

Yeh na thee hamari qismat k wisaal E yaar hota
Agar aur jeete rahtay,  yehi intezaar hota

Tere waa’de par jiyee ham to yeh jaan chhoot jana
K khushi se mar na jaate!!!  agar intezaar hota

Koi mere dil se poochhe, tere teer E neem kash ko
Yeh khalish kahaaN se hoti, jo jigar k paar hota

Yeh kahaan ki dosti hai k bane hain dost naaseh
Koi chaaraa saaz hota koi Ghamghusaar hota

Kahun kis se main K kya hai shab E Gham buri bala hai
Mujhe kya bura tha marnaa agar aik baar hota

Hue mar K ham jo ruswa hue kyuN ka Gharq E dariya
Na kabhi janazaa uthta na kahiN mazaar hota

Yeh masaael E tasavvuf, yeh tera bayaan ‘Ghalib’
Tujhe ham wali samajhte Jo na baad akhar hota

Dil Eya naadaan tujhe huaa kya hai



Dil  Eya naadaan  tujhe  huaa  kya  hai
         Aakhir  iss  dard  kii  davaa  kya  hai

Hum  haiN  mushtaaq  aur  woh  bezaar
        Yaa  ilaahee  yeh  maajraa  kya  hai

MaiN  bhi  muNh  me  zabaan  rakhta  hun
        Kaash poochho  k muddu’aa  kya  hai

Jab  K  thujh  bin  naheen  koi  maujood
        Phir yeh  hangaamaa  ae  Khuda  kya  hai

Yeh  paree  chehra  log  kaise  hain
        Ghamza O  ishwa O  adaa  kya hai

Shikan-E zulf-E anbareen  kyun  hai
        Nigah  chashm E  surma  sa  kya  hai

Sabza O gul  kahaan  se  aaye  hain
        Abr  kyaa  cheez  hai,  havaaa  kya  hai

Hum  ko  un se  wafa  ki  hai  ummeed
       Jo  naheen  jaante  wafa  kya  hai

Haan  bhala  kar  tera  bhala  hogaa
       Aur  darvaesh  kee  sadaa  kya  hai

Jaan  tum  par  nissar  karta hoon
      Main naheen jaanta du’aa  kya  hai

Main  ne  mana  K  kuchh  nahi  ‘Ghalib’
      Muft  haath  aaye  to buraa  kya  hai

Har ek baat pe kehte ho tum k ‘tu kya hai



Har ek baat pe kehte ho tum k ‘tu kya hai’ ?
Tumheen kaho k yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

Na sho’le mein yeh karishma na barq mein ye ada
koee bataao k woh shokh-e-tund_khoo kya hai ?

Yeh rashk hai ki wo hota hai ham_sukhan tumse
Wagarna khauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
Hamaaree jeb ko ab Haajat-e-rafoo kya hai ?

Jalaa hai jism jahaan dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, Justjoo kya hai ?

Ragon mein daurte phirne ke ham naheen qaayal
Jab aaNkh hi se na tapka to Phir lahoo kya hai ?

Woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
Siwaay baada-e-gul_faam-e-Mushkaboo kya hai ?

PiyooN sharaab agar khum bhee dekh loon do chaar
Yeh sheesha-o-qadah-o-Kooza-o-suboo kya hai ?

Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
To kis ummeed pe Kahiye ke aarzoo kya hai ?

Bana hai shaah ka musaahib, phire hai itraata
Wagarna shahar Mein ‘Ghalib’ kee aabroo kya hai ?

(By: Mirza Ghalib)

Kisi ko de ke dil


Kisi ko de ke dil  koi nawaa-sanj-e-fughaan kyun ho ?
Na ho jab dil hi sine mein to phir muNh main zubaan kyun ho

           Wafaa kaisi? kahan ka ishq? jab sar phoRna Thehra
          To phir ae sangdil tera hi sang-e-aastaan kyun ho?


Yehi hai aazmaanaa to satana kis ko kehte hain?
Adu ke ho lye jab tum to mera imtihaan kyun ho?



        Ye keh sakte ho “Hum dil main nahin hain?” par ye batlao !
        K jab dil mein tum hi tum ho to aankhon se nihaan kyun ho?


Qafas mein mujh se roodad-e-chaman kehte na dar humdum
Giri hai jis pe kal bijli woh mera aashiyaan kyun ho?



        Nikala chahta hai kaam kya taa’non se tu Ghalib?
       Tere be-mehar kehne se wo tujh par mehrbaan kyun ho?

Saturday, May 2, 2015

Na kahal tha na kiyas tha



Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta



Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta,
Kisi bhi Aaina me dair tak chehra nahi rehta...

Baray logon se milne me hamesha fasla rakhna,
Jahan darya samandar se mila, darya nahi rehta...

Tumhara Shehar to bilkul naye andaz wala hai,
Hamare shehar me bhi ab koi hum sa nahi rehta...

Mohabbat aik khushbu hai hamesha saath chalti hai,
Koi insan tanhai me bhi tanha nahi rehta....

Koi badal haray mausam ka phir ailan karta hai,
Khizan ke bagh mein jab aik bhi patta nahi rehta...

Dil ki Baat Labho Par


Dil ki baat labon par la kar ab tak ham dukh sehte hain
Ham ne suna tha is basti mein dil wale bi rehte hain,

Beet gya sawan ka mahena mosam ne nazrain badlen
Lekin in payasi aankhon se ab tak aansoo behte hain,

Aik hmain awara kehna koi bara ilzam nahi
Dunya wale dil walon ko aur bohat kuch kehte hain,

Jin ki khatar shehr bi chora jin ke liye badnaam hoye
Aaj wohi ham se begane begane se rehte hain,

Wo jo abi is rah guzar se chak greban guzra tha
Us awara dewane ko jalib jalib kehte hain.

Muja bhi yad kar lana



Chalo mana!
Kisi sahat,kisi lamha
Kisi waqt ya kisi sub ma,
Ya hafta ma, maheena ma
Tumha fursat nahe , socho muja....
Lakin koi tahwar aya to,
Kisi ko tum gala sa jub lagao to
Muja bhi yad kar lana.....